teray falak ka damakta hoa sitara tha

teray falak ka damakta hoa sitara tha
ye patharoN pay hamieN kis nay la utara tha

hawa nay choo ke tumheiN hum say dushmani kar li
ye iltifaat bhi hum ko kahaN gawaara tha

meiN murr gaya to mujhay tou nazar nahiN aaya
maiN ja chuka to mujhay kis liay pukara tha

wo teray ashk, tery yaad teray khawab sabhi
bus aik tou hi nahiN or sab hamara tha

humiaN dubo key samandar nay bhar lia daaman
unheiN to lehar nay sahil pay ja utara tha

Poet: Muhammad Arif Ashraf

bhut achay:k:

:k:

thnx :)

bahut khoob!

:k:

nice1 :)