Teray Baghair Beet Gaya, Aik Baras Aur

Aaya Hai Kisi Taur, Qazaa Ko Na Taras Aur
Teray Baghair Beet Gaya, Aik Baras Aur

Kuch Shaah Kay KaanoN MaiN, QaseedoN Ka Irti’aash
Kuch Moflis-e-Barbaad Ka Paighaam-e-Jaras Aur

Kuch Fitratan Hai, Zaaviya-e-Soch, Mokhtalif
Kuch Meray Ab-o-Jadd Nay, Sik’haaya Hai Daras Aur

Moddat Kay Baad Sher Kahay, To Pataa Chalaa
Dil Ko Koyi Jozaam Hai, SochoN Ko Baras Aur

Khush-Fehmi-e-Saadiq Ka Ilaaj-o-Dawaa Yahi
PaRnay Do Abhee Aank’h MaiN, Ibhaam Ka Rass Aur

Re: Teray Baghair Beet Gaya, Aik Baras Aur

yani ke in short aap birthday ki baat ker rahe hein naa ?? :@: