SJ
1
Lab pay ik harf-e-talab tha na raha teray baad
Dil main taseer ke kwahish na dua tereay baad
Aks-o-ainaay main ab rabt kya ho teray baad
Hum to phirtay hain khud apnay say juda teray baad
Dard seenay main hoa noha sara teray baad
Dil ke dharkan hai kay mataam ke sada teray baad
Ak hum hain kay bay-barg-o-nawa teray baad
Warna aabad hai sab khalq-e-khuda teray baad
Tu kay simta to rag-e-jaan ke hadoon main simta
Main kay bikhra to samayta na gaya teray baad
Milnay walay kai mafhoom pehen ker aa’ay
Koi chehra bhe na ankhoon nay parha teray baad
Yeh alga baat kay afsha na hoa tu warna
Main nay kitna tujhay yaad kia teray baad
Seh lia dil nay teray baad malamaat ka azaab
Warna chubhtee hai rag-e-jaa’n main hawa teray baad
Jaan-e-Mohsin mera hasil yeh he mubhim satraain
Shair kehnay ka hunar bhool gaya teray baad
Re: Teray baad ...........
Khoob.. :)
Amal
3
Re: Teray baad …
Bohat hi shaandaar ghazal hey :k: Daad qabool kijeeye :~)
Sheal
4
Re: Teray baad ...........
Bohot khoob :)
Re: Teray baad …
Dard seenay main hoa noha sara teray baad
Dil ke dharkan hai kay mataam ke sada teray baad
buhut khub soniaa :k:
Re: Teray baad ...........
boht khoob.. one of my fav.. thanks for sharing sonia :)
SJ
8
Re: Teray baad ...........
Khoob.. :)
Thanks Ahmer :)
SJ
10
Re: Teray baad ...........
Thanks Alot :)
Re: Teray baad ...........
Tu kay simta to rag-e-jaan ke hadoon main simta
Main kay bikhra to samayta na gaya teray baad
v nice one :)
SJ
12
Re: Teray baad ...........
Bohot khoob :)
Thanks :)