Wohee gardishain wohee pay-cho-khu teray baad bhi
**Wohee hoslay meray dum-ba-dum teray baad ** Teray sath the taree har jafa mujhay motaaber Teray saray ghum mujhay mohtara teray baad bhi
Teray ghum say hai maree har khushe mein waqar sa meray haal pay hain teray karam teray baad bhi Baray muztarib meray rastay teray baad bhi Baray pur-sakoon hain meray qadam teray baad bhi
Teray sath the maree har khushe teree muntazir Taree muntazir maree chashm-e-num teray baad bhi
**Teray sath thee maree dustaraus mein jo rooshni ** Kabhi ek pal kabhi subah dum teray baad bhi
meray baad kitnay he roop tu nay badal liay mein wohee hon ab bhi taree qasam teray baad bhi Tu kisee kay qalb-e-arzo mein tu dhal gaya mein na ho saka kabhi khud mein zum teray baad bhi