Teray aanay kaa dhoka saa rahaa hai

Teray aanay kaa dhoka saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai

ajab hai raat say aankhoN kaa aalam
yeh dariyaa raat bhar chaRhtaa rahaa hai

sunaa hai raat bhar barsaa hai baadal
magar woh shehar jo pyaasa rahaa hai

woh koi dost thaa achchay dinoN kaa
jo pichli raat say yaad aa rahaa hai

kisay dhoondo gai inn galyioN meiN Nasir
chalo ab ghar chaleiN din jaa raha hai

(NASIR KAZMI)

Re: Teray aanay kaa dhoka saa rahaa hai

kisay dhoondo gai inn galyioN meiN Nasir
chalo ab ghar chaleiN din jaa raha hai

Nasir kazmi ki poetry main to hamesha koi ja raha hota hai :bummer:

Re: Teray aanay kaa dhoka saa rahaa hai

lol, i also noticed it…

Re: Teray aanay kaa dhoka saa rahaa hai

wo jab rukhsat huwa tab yaad aaya...

gae dino ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo

wo shakhs to shehr hi chhoR gaya

lagta hai 'Jab we met' ki Karina Kapoor kii tarah khwab main train chhoot jati thi shayar ki

Re: Teray aanay kaa dhoka saa rahaa hai

Nasir Sb :k: