*~*Tera Zarori Hai Paar Jana*~*

Re: ~*Tera Zarori Hai Paar Jana~*

**Mujhey kinarey ki kab tamanna **
TumheiN hai daryaa key paar jana
Mager yeh socho
Key aaj daryaa charha hua hai
Ba-pharto maujoN ki surkh aaNkheiN bata rahi haiN
Khiraaj maaNgey ga aaj daryaa
Tera zaroori hai paar jana
To aisa karlo
Mujhey shareek-e-safar bana lo
Key mera kya hai
Khiraaj maangey jo tumsey daryaa
Mujhey bhaNwar meiN utaar jana
Tera zaroori hai paar jana

It's a lovely poem... by Shameer Hassan Farooqui :-)