Tera Pyar....

**Dil ko kitna beqarar kar raha hai tera pyaar
Intezar ko dushwar kar raha hai tera pyaar.

Tere liye hum ne jogan ka bhehass liya hai
Jeena kitna mushkil kar raha hai tera pyaar.

Tere waado pe jan jaye to shouq se ye jaye
Ke teer jigar ke paar kar raha hai tera pyaar.

Naino main sapne tere,nazar kuch aata nahi
Ke aansuo ki barsaat kar raha hai tera pyaar.

Zindagi ka har mousam ruth gia hai tere baad
Per khiza main phool khila raha hai tera pyaar.

Omeedain tootne ke baad bhi bandh jati hain
Har mor pe nai aas bandha raha hai tera pyaar.

Zakhim lage hain dil per phir bhi ye pagal hai ke
Dil main pyaar aur gihra kar raha hai tera pyaar.

Hazaro aansoo baha kar bhi lub khamosh hain
Ke mere dil se baatain kar raha hai tera pyaar.

Maheene aur saal guzre aur guzri sadiyian bhi
Phir bhi aur intezar karwa raha hai tera pyaar.**

Re: Tera Pyar…

^ Allah ap bee marzay ishq main mubtala hogayay :smack:

Re: Tera Pyar....

yei marzz kisi sei bachti nahi...ho jaati hai i guess....lekin ...LEkin dont worryy abb aisa kuch nahi hai gehraa ghaoo laga hai ahista ahista sei bhar hi jaaey ga...kehtay hai na waqt apnay app mei aik bada marham hai so wo yei bhi sikhla dei gaa...k qasmei waadei pyar wafa sab baatain hain..baaton ka kiya..

Re: Tera Pyar…

^ Allah khuda kay wastay.. ab to yah nahi kaho.. kay is zamanay main sacha pyar bee hota hay :smack:
my dear.. sab kuch daykawa hay.. when it comes for sacrifice sab apnay apnay gonslo main chup jatay hay :snooty:

Re: Tera Pyar....

really nice one

Re: Tera Pyar....

ye is thread itni udaasi kiyon chahee hoi hay...

yaar attia tum to apnay mashwaray rehnay hi do, tum ko kiya pata ishq wishq piyaar wiyaar jab prince mil jay us k baad aisi batain karna.

**AG **ghum na karoo... aur bhi dukh hain zamanay main mohabbat k siwa