Tera milna muhaal kiya hoga
Tera milna muhaal kiya hoga
tu mila bhi tow haal kiya hoga
soch ker la yeh jawab koi
jantay ho sawal kiya hoga
meray hotay huway huwa na kabhi
baad meray visaal kiya hoga
tuj ko duniya say hi nahi fursat
tuj ko mera khayal kiya hoga
yaar ki yaad bun ker rehta hai
zakhm ka undmaal kiya hoga
un ki nazrain badal gai wasif
sheesha dil main baal kiya hoga
![]()
Re: **Tera Milna Muhaal kIya hoga*
Very Nice !