Dukh ki lehar ne chera hoga
Yaad ne kankar phenka hoga
Aaj tu mera dil kehta hai
Tu is wakt akela hoga
Mere choomay huwe haathoon se
Auroon ko khat likhta hoga
Bheeg chaleen ab raat ki palkain
Tu ab thak kar soya hoga
Rail ki ghehri seeti sun kar
Raat ka jungle goonja hoga
Shehar ke khaali station per
Koi musaafir utra hoga
Aangan mein phir chireyaan boleen
Tu ab so kar utha hoga
Yaadoon ki jalti shabnam se
Phool sa mukhra dhoya hoga
Mouti jaisi shakal banaa kar
Aaaenay ko tak'ta hoga
Shaam huwi ab tu bhi shaayad
Apne ghar ko lauta hoga
Neeli dhundhli khaamoshi mein
Taaroon ki dhun sunta hoga
Mera saathi shaam ka taara
Tujh se aankh milaata hoga
Shaam ke chalte haath ne tujh ko
Mera salaam tu bheja hoga
Pyaasi karlaati konjoon ne
Mera dukh tu sunaaya hoga
Mein tu aaj bahut roya hoon
Tu bhi shaayad roya hoga
Nasir tera meet puraana
Tujh ko yaad tu aata hoga...
nice one Amarbail jee ![]()
and very well sung by Jagjit Singhji
![]()
Buhat Khoob AB :k:
yaad tu bhuhat atti hai nice :k: