Daagh
1
**
sadma to hai mujhe bhi ki tujhse judaa huun main
lekin ye sochta huun ki ab tera kya huun main
bikharaa padha hai tere hi ghar mein tera vajuud
bekaar mahafilon mein tujhe dhuudhta huun main
main khudakashii ke jurm kaa karataa huun aitaraaf
apane badan ki qabr mein kabase gadaa huun main
naa jaane kis adaa se liyaa tuune mera naam
duniyaa samajh rahi hai ke sab kuch teraa huun main
*
le mere tajurbon se sabak ae mere raqiib
do chaar saal umr mein tujhse badaa huun main
jaagaa huaa zameer vo aaina hai “Qateel”
sone se pahale roz jise dekhta huun main
**
Wah.. Bohat hi khoob.. :k:
Koyal
5
bohat khubsurat gazal sallu g…
but kis ne kaha tha judaa honay ko phir a he gaye na :p..
itnay sadmay na uthaia karo aur murghay khaia karo aur yehi raha karo…
naa jaane kis adaa se liyaa tuune mera naam
duniyaa samajh rahi hai ke sab kuch teraa huun main
bohat khoobbbbb! (:
:k:
wonderfull…thanks for sharing..
Daagh
9
hehehe murgay khaana and sadma karna are two different things mein yeh dono alag alag time par karta hoon na 
Nawazish 
Daagh
10
many thanks for appreciating
Viva, ummehani, niqabi and baziger
