tera khayal dil se mitaya nahi abhi
be-dard maine tujhko bhulaya nahi abhi
kal tune muskuraa ke jalaya tha khud jise
seene aa vo charaagh bujhaya nahi abhi
gardan ko aaj bhi teri baahon ki yaad hae
chaukhat se tere sar ko uthaya nahi abhi
behosh hoke jald tujhe hosh aa gaya
mae badnaseeb hosh mein aaya nahi kabhi
By: Sahir Ludhianvi