Tera gila tha mujh ko tujh se piyar nahin tha
Such hai ke tujhe piyar mera derkar nahin tha
Teri ana thi tu ne jo iqraar na kiya
Per mujh ko tere piyar se inkaar nahin tha
Samjha tha men ne piyar ko kaanton ka raasta
Lekin jo chal ke dekha to purkhaar nahin tha
Perh ker jisey tu rakh ke kahin bhool gaya tha
Wo khat tha mera ,shaam ka akhbaar nahin tha
Jo nasha ishq bakhashta hai chashme yaar ko
Aisa teri nigaah men khumaar nahin tha
Umrein guzarin apni maine ik teri khatir
Aur tu,ke tujhe mera intizar nahin tha
Jo saath do qadam bhi chalay,yaar hota hai
Ik tu ke humsafar to tha per yaar nahin tha…!!!