Temporary 'Faqeer'

Eik shakhs nay eik andhay faqeer kay kaasay mein sikka phainka, sikka kaasay mein nahin gaya, zameen per gira aur larkharaata hua dhoor chala gaya. Faqeer nay foran uth kar sikka uthaa liya.

Bheek deney walay nay hairat sey kaha: “Mein samjha tha, tum andhay ho.”

Baba: "Bhala ho tera, mein yahan roz baithnay wala andha nahin hoon, mein to uski jagah kaam kar raha hoon, woh to film dekhney cinema gaya hai."

Re: Temporary ‘Faqeer’

:hehe:

Reminds me of another one I read a while ago, “aik sakht garmi kay din aik bus stop pay bohat say log paseenay main sharabor bus ka intizaar kar rahay thay. Itnay main aik fakir aaya, sab logon nay tars kaha kar usay aik do rupay day diay to wo Rakshay main baith kar chala gaya” :wink:

Re: Temporary ‘Faqeer’

:biggthumb

Re: Temporary 'Faqeer'

Eik aur pardhiyey:


Do faqeer, eik andha dosra bahra, sarak kay kinaray eik bara kaasa rakh kar baithey hue thay. Chaurangi per subah sey rush laga hua tha, aur unkay phailaaye hue kaasay mein imdaad ki wasooli barabar hasil ho rahee thee, magar hota yoon tha kay jaisey hee koi shakhs note phaink kar jaata, bahra faqeer usay uthaa kar jaib mein rakh laita. Sooraj doobnay ka waqat qareeb aaya to chaurangi per rush aur zaada bardh gaya, magar bahray faqeer nay apnay chaal chalan andhay kay saath na badlay.

Aakhir-kaar andhay faqeer sey raha na gaya, aur kuch hee dair baad usnay jazbaati ho kar poocha: "Bhai bus kar do. Jhooli mein sey sarey note tum uthaa logay to merey liyey kiya bachay gaa?"

Bahray ka mou hairat sey khullay ka khulla reh gaya: "Magar tum to andhay ko, tumhay kaisey pata chala yeh sub kuch?"

Andhay nay itminaan sey jawab diya: "Kyonkay mujhe subah sey sikkay girnay ki awaazein aa raheen hain."


Proud owner of this "Faqeeron ki" thread :D

Re: Temporary ‘Faqeer’

:rotfl:
The behra faqeer wasn’t all that behra either :smiley: