Tehro mujhay kuch kehna hay

tehro mujhay kuch kehna hay
thora piyar bhi tum ko daina hay
phir apna rasta chalna hay
jis rastay per chaya bhi nahin aur tum bhi nahin
bus yaad tumhare saath rahay
yun jaisay dil pay haath rahay
kuch dard ka bhi ahsas rahay
ruk jao yeah tuhfa laina hay
ik lumbi umar judai ki is saa’t say pehlay kate hay
is saa’t kay baad guzarain gay
ik yaad amar ho janay do
bus is pal tum meray saath raho
phir bayshuk dur chalay jana, phir loat kay bhi tum na aana
bus is pal tum meray saath raho aur kaash yeah pal thehar jayae

Re: Tehro mujhay kuch kehna hay

phir bayshuk dur chalay jana, phir loat kay bhi tum na aana
bus is pal tum meray saath raho aur kaash yeah pal thehar jayae
beautiful dilsay, thanks a lot.

mein to kab ke tehre hoee hoon,yeh aur baat hai ke tum rok jatae ho;)
:k::k:

Acha jee aur hum nay aap ko kab rooka hai