**By..
Abdaal Baila **
Hum ajnabi thay..
Aik qadam bhi abhi aik saath na chalay thay..
Magar jantay thay..
Kay qudrat nay hamain chalna, sirf aik dosray kay saath chalnay kay liye sikhaya hai..
Pehli baar main usskay saath chala tu..
Usska hath..
Mairay hath main tha..
Mainay pehlay qadam say dosray qadam kay darmiani waqfay main uss say poocha..
Kia yeh safar saath chalnay ka.. Hamari saanson jitna taveel nahi ho sakta ?
Uss nay paon zameen per rakh kay phir utha diya..
Aur apna dosra hath bhi mairay hath main day diya..aur kaha..
Zameen sirf unkay qadam rokti hai jin kay paon main bad-gumani kay jootay hon... Aaisay jooton per saraish(gond) lagi hoti hai, aaise jootay hon tu door tak chala nahi ja sakta.. Magar dekho main nangay paon tumharay sath chal rahi hon..
Mainay usskay talvo'on kay neechay apni hathailian rakh deen..
Hamara teesra qadam hava main tha..
Hava aur Zameen dono hamari raz-dar hain ..
Wow… Great! ![]()
wonderfull…:k:
Thanks :-)
beautiful…!!
:k::k:
beautiful :k:
humm maza nahi aya
awesomeee
:k:
lajavab:k::k::k:
thanx for sharing:flower1:
Re: !~* Teesra Qadam *~!
Zabardast
Re: !~* Teesra Qadam *~!
wow .... Thanx for sharing DJarian :-)