hisaab-e-umr ka itna sa goshwaara hai
tumhein nikaal k dekha to sab khasaara hai
kisi charaagh mein hum hein kisi kanwal mein tum
kahin jamaal hamara, kahin tumhara hai
najanay kab tha, kahan tha, magar ye lagta hai
ye waqt pehlay bhi hum ne kabhi guzaara hai
ye do kinaaray to darya k ho gaey, hum tum
magar wo kon hai jo teesra kinaara hai