zindagi ki rah par
hum thay teenoN humsafar
ghum bhi tha khushi bhi thi
rah thi wo pur khatar
ghum ne mujh se yooN kaha
maiN hooN tera rahnuma
ye khushi teri nahiN
kiss ki ye hui yahaN?
jo raha hai khush yahaN
bhoola apnay Rab ko hai
ghum se hai ye bandagi
ghum se hai ye zindagi
pal ko saath degi ye
phir ye choR jaye gi
har qadam pe jhoota ik,
khwab ye dikhaye gi
ye suna khushi ne tau
ihtejaj yooN kiya
mera haath tham kar
phir kalam yooN kiya
ghum ki baat maan kar
khud ko kyoN rulatay ho?
zindagi ki laz’zataiN
ghum maiN kyoN gaNwatay ho?
har khushi maiN rang hai
zindagi ki chah ka
ghum faqat andhaira hai
zindagi ki raaH ka
ghum se mayusi milay
mujh se zindagi milay
ghum ke saath jo chalay
bus ussi ka ho chalay
kuch samajh saka na maiN
ghum ki na khushi ki baat
na samajh saka maiN ye,
kiss ne di hai kiss ko maat
kiss ko saath le chaloN?
kiss ko choR dooN yahaN?
unko ko laRta choR kar
maiN wahaN se chal paRa
maiN chala wahaN se tau
wo bhi saath chal paRay
do qadam chalay na thay
donoN phir se laR paRay
zindagi ki raah par
phir thay teenoN humsafar
ghum bhi tha khushi bhi thee
raah thee wo pur khatar.
(Black Mamba)