***GHAZAL
Kia khbar the k hum ko sataney waley or bhe hain
yahaan tujh ko toot k chahney waley or bhe hain
meara her baar ka manana aaya na raas tujh ko khabi
tearey haal pay tujh ko chor k janey waley or bhe hain
tearey gaal say aansoo ko khurcha tu kyun ho khfa
her baat pay ab tujh ko rulaney waley or bhe hain…
hum ney khbi na kia teree jafa ka zikar kisi say
shaher main tumshkher uraney waley or bhe hain
ab k teara bharum tootey tu ilzaam na ho mujh per
dushat main tanha choor k jaaney waley or bhe hain
niklain khaali haath tearey sheaher say mumkin nhe
dewanoon pay sung bersaaney waley or bhe hain..
TUJH KO PAANEY KI JISARAT FAQAT HUM NEY NA KI ‘SHAH G’
ES CHAND KI CHAH MAIN MER JAANEY WALEY OR BHE HAIN