This is “Tazkira” of peer sahab (those who don’t know what a tazkira is, need to visit “mazaars” more often), is kitabchay main hazrat kay malfoozaat, farmoodat aur karamaat ka zikr-e-ba-barkaat keyboard-band kiya ja rha hay.
kuch bohot qeemti farmaan aap pichlay dinoon sun chukay hain, aur hazrat nay aapki sahoolat kay liye un par “siyaaq-e-sabaaq ki rooshni” dalnay ka bhi intazam guzray huway kal main farma diya tha. aapki karamaat ka zikr-e-khair karnay ki zaroorat bohot shiddat say mehsoos ki ja rahi thi, is liye ye aaqir is kaam ki ibtida karnay ki jesarat kar rha hay. umeed hay hazrat kay mureed is kar-e-khair ko jari rakhaingay aur awaam-un-naas ki bhalai ka zariya banaingay
Roohani Zahoor
Peer of London Shareef nay morkhwa 7 July 2010, karachi main roohani zahoor farmaya aur takhti ki niqab khushai farmanay kay baad apnay london kay maktab say muttassil hujray main wapas tashreef le gaye. pichlay dinoon polling main bazor-e-taqat-e-khaffi anthak mehnat aur pakistan ka mustaqbil mehfooz farmanay kay bad ab tabeebon kay mashwaray par aram farma rahay hain.
But I think this Marasi is preparing his next item for sure.
Waisey I have a solution for this problem: Since Maindak Bhai's political activity is limited to his tongue only, it should be numbed for few months to cure his rectal bleeding.