Tumhari yaad kay Thehray howay Behr-e talatam par
Chali hai ik hawa-e aabdeeda shaam hotay hi
Sittaray jhaanktay hain cheh’chahay par phaRdhpaRdhatay hain
Challay aatay hain saaray shab guzeeda shaam hotay hi
Abhi din ki musafat mehr fitna soz baqi hai
Shafaq thamay howay hai jaam-e ram kasheeda shaam hotay hi
Howi rukhsat Shah-e imrooz ki shahi sawaari hai
Kharray ashjaar saaray dam kasheeda shaam hotay hi
Abhi laila-e shab nay chaand ka chehra ujla hai
Girebaan hain yahaan par sab dareeda shaam hotay hi
Abhi wat-Taariq o wal-Lail ki tafseer khulni hai
Bayaan hongay huroof khat kasheeda shaam hotay hi
Abhi khul jaye ga naqaab maah-e husn afroz lehroon par
Jhapakna bhool jaye gi nigah khuwaab deeda hotay hi
Koi chupkay say aakay pehlo-e weeran ko bhar day ga
Sunni jaye gi meri aah na-raseeda shaam hotay hi
**
Shan. 10 August. 2006**