Tawaaf Krta Huwa, Istlaam Krta Huwa,
Main Shehar-e-Wijd Me Hun Subha-0-Shaam Krta Huwa ..
K0i t0u He Jo Mujhy Khainch Khainch Laata He,
Zaroorto’n Ka Mri Intzaam Krta Huwa ..
Khara Hun Apne Hi Saaye Ki Jaa-Namaz Pe Main,
Namaz-e-Shukr Me Dil Ko Imaam Krta Huwa ..
Tre Huzoor Mujhy Le K Aan Puhncha He,
Ye Sajdaah Mujh Me Musalsal Qayaam Krta Huwa.
Nikal Para Hun Kisi Ishq K Ta’aaqub Me,
Hr Ek Yaad Ko Khud Pr Haraam Krta Huwa.
Fughaa’n ! mujh Me Jo Ik Khuwahisho’n Ka Lashkar He,
Guzar Raha He Mera Qatl-e-Aam Krta Huwa.
Samou Raha Hun Nazar Me Muqaam-e-Ibraahim,
Main Dil Me Ek Tamana-e-Khaam Krta Huwa ..
Main Kash Sang Hi Hota K Zinda Reh Jaata,
Naqosh-e-Paaye-e-Payamber-e-Dawaam Krta Huwa.
Dua Ko Haath Uthaaye Jo Main Ne Marwah Pr,
Thehar Gaya Koi Mujh Me Khraam Krta Huwa.
Harmm Me Urti Abaabil Ki Tarah Hun Sauood,
Sakoot-e-Neem Shabi Se Kalam Krta Huwa.