**Tawaaf-e-Koocha-e-AgHyaar mein rakhaa huwaa hai
Mujhay ik mustaqil AAzar meiN rakha huwa hai
Mujhay Chaak-e-GirebaaN ki zaroorat ho to keyaa ho
Meraa Sodaa meri Guftaar meiN rakhaa huwaa hai
Kai RaNgeeniaaN rakh kar Baroo-e-Chashm-e-Beenaa
Mujhay Paabandi-e-Kirdaar meiN rakhaa huwaa hai
Koi Saamaan, Ranj-o-dard-o-gHam ki Intehaa ka
Mere Lafzon ke iss Baazaar meiN rakhaa huwaa hai
Teri AankheiN ZubaaN se MukHtalif kuch kaih rahi haiN
Na’jaane keyaa abhi Asraar mein rakhaa huwaa hai
Buland Awaaz se Haque ki Wakaalat kar rahaa hooN
Mere jeene kaa Maqsad Daar mein rakhaa huwaa hai
Takalluf bar’taraf lekin abhi “Tassneef” Tu ne hi
Kahaani ko bohat Asraar meiN rakhaa huwaa hai**
Note:- Tassneef aur “Shakir” takhalusaat se aap confuse na hojaiyegaa mujhey dono hi istemaal karne parhtey haiN Behr aur Wazn ko Madd-e-Nazar rakhte huwe…
Maqtaa pehle youN arz kyia thaa
Takalluf bar’taraf lekin abhi Shakir tu ne
Kahaani ko Bohat Asraar mein rakha hwua hai
magar Shakir ke istemaal se Wazan gir jaata hai iss lyie mujhey Tassneef ko Bataur-e-TakHaluss istemaal karna parha !
Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat
waah kiya baat hai - behtareen ghazal
Zameen zara sanglaakh hai.
Iss zameen main aisay adaq redeef o qafiya k saath she'r kehna Aap hi ki himmat hai.
Urooz se waqfiyat Aik ne'mat hai. jiss ka jeeta jagta saboot yeah ghazal hai.
Bohat khoob.
halankay Maqtay k misra e saani main aik rukn kam hai lekin qabil e qubool hai.
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
bus bohot ho gaya aainda se aap achi ghazal yaah sher likhain ge tou aap ko meri tareef karni hogi!! pata kiun? kiun ke mein aap ki bhateeji hoon aur aap ki tareef mujhe bhi tou aani chaahie thori bohot lol
AcHa acha Baba main to tareef kar hi loonga kiouNkeh mere pass to takHayul ka aur Alfaaz ka zakHeera ahi magar aapko kiss budhu ne kaha keh emri tareef kareiN kiOUnkeh
meri tareef to khatam hoti hi nahiN hai (nauzobillah) mere kehna ka kuch gHalat matlab na ho ! magar main kissi aur niyyat se keh raha hooN beshak tamaam tareefein kHuda ke liye hi haiN..magar maiN aam cHoTi satah ki tareefoN ki baat akr raha hooN !
Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat
[This message has been edited by Tassneef (edited June 26, 2002).]
hmmm tou aap ki ghazlain parh ke tareef nahikaroon gee tou kya karoon gee, chalo aainda se nahi karoon gee, wese bhi aap ki tareef hoti hee rehti hai, aakhir uncle kis ke hain