Tassawur ke haseen chehre se hairaani nahee jati

**
Tassawur kay hasee’n chehray say hairaani nahee’n jaatee
Zamaanay ki haqeeqat bhi tau pehchhani nahee’n jaatee

Badaltay hi nahee’n taywar teri yaado’n kay mausam kay
Tabhi aankho’n kay daryao’n ki tughyani nahee’n jaatee

Faraawaa’n bhi hai har shai aur garaani bhi hai roze afzoo’n
Faqat ik nasal-e-insaa’n hee kee arzaani nahee’n jaati

Nahee’n aatay ghareebo’n hi kay din achhay nahee’n aatay
Ameero’n tak kabhi koyee praishaani nahee’n jaati

Sayaah baadal thay pehnaawa falak ka, ab zamee’n ka hai’n
Yaha’n ab soorat-e-insaa’n bhi pehchaani nahee’n jaatee

Nawaabo’n aaur zardaaro’n ka qabza hai yahaa’n ‘noorie’
Tabhi tau mulk say apnay yeh sultaani nahee’n jaatee
**

bahut khoobsoorat~

aisa lagraha hai k aik mughaloon k dour ki koi shehzadi ye ghazal kehrahi hae ;)

aap key leye ye munasib hae

bhooli bisri chund umeediin chund fasane yaad aee
tum yaad aee aur tumhare sath zamane yaad aee
hansne waloon sey dartay they chup chup kar ro letay they
ghehri ghehri soch mein doobay do diwane yaad aee

Buhat Khoob :k:

Re: Tassawur ke haseen chehre se hairaani nahee jati

Bohat khoob:k:…thanx for sharing.

Re: Tassawur ke haseen chehre se hairaani nahee jati

[QUOTE]
Originally posted by Bhooli Bisri: *
*

Nahee'n aatay ghareebo'n hi kay din achhay nahee'n aatay
Ameero'n tak kabhi koyee praishaani nahee'n jaati

Sayaah baadal thay pehnaawa falak ka, ab zamee'n ka hai'n
Yaha'n ab soorat-e-insaa'n bhi pehchaani nahee'n jaatee
**
[/QUOTE]

Buhat Khuub, Thanks for sharing: )