Tassalsul Toot jaay ga...!!

**Na chaiRho khilti kalyoN, hanste phoolon ko

in uRhti titliyoN, aawara bhawron ko,

Tassalsul Toot jaay ga!

fiza mehway sama’at hai,

haseen honton ko naghma-rez rehne do,

nigahaen neechi rakho aur mujassam gosh ban jaao

agar junbish labon ko di,

Tassalsul Toot Jaay ga!

hawa say pat-tiyaaN sargoshiyoN meiN mehave haiN

aur jhoomti shakHoN ke jhooloN meiN

parindoN ki chahak se sara sahil

sarmadi ehsas meiN Dooba huwa

sarshar-o-shadaaN hai

agar kankar bhi satah-e-aab pe mara

Tassalsul Toot jaay ga!

ufuq meiN Doobte sooraj ka manzar

iss bulandi se zara dekho

issi rangeen kinaare par,

shafaq sona luta-ay gi

yoonhi tum be- hiss-o-saakit raho

aise meiN palkaiN bhi zara jhapkaiN

Tassalsul Toot jaay ga!

wo kHwabeeda hai, kHwabeeda hi rehne do

na jaane kHwaab meiN kin waaadiyoN ki sair karti ho

bulandi se phisalte aabsharoN meiN kahiN gum ho

falak- asaar choti par kahiN meh’way tarranum ho

agar awaz di tum ne

Tassalsul Toot jaay ga!

maiN shayar hooN,

meri fikr-e-rassa, ehssass ki uss satah par hai

jiss meiN kHushboo rang banti hai

sada ko shakl milti hay

tassavvur bol uthTa hai

kHamoshi gungunaati hai

yeh wo waqfa hai _ _ _ _ _ _ aise meiN,

agar daad-e-sukHan bhi di

Tassalsul Toot jaay ga!
**

Re: Tassalsul Toot jaay ga…!!

Ghar ja ke padhoon ga.. yahan tasalsul toot jae ga :hehe:

Re: Tassalsul Toot jaay ga...!!

Abhi tak Ghar nhi Ponhchay kia.......??

Re: Tassalsul Toot jaay ga…!!

Its so loong:bummer:

Re: Tassalsul Toot jaay ga...!!

itni bhi lambi nhi.....

Re: Tassalsul Toot jaay ga…!!

haan but aaj mood nahi aur upset hooney ka :bummer:

Re: Tassalsul Toot jaay ga...!!

Abhi kis baat ki wajha sy Upset hyn aap?

Re: Tassalsul Toot jaay ga...!!

Generally

Re: Tassalsul Toot jaay ga…!!

taveel leekan achi nazam :cobra:

Re: Tassalsul Toot jaay ga…!!

Kal jaldi so gaya tha.. aaj zaroor padhoon ga :hehe:

Re: Tassalsul Toot jaay ga…!!

Aap ko iss main kia acha laga.. aur agar khulasa karde to bunda marte dum tak ihsan mand rahe ga :slight_smile:

Re: Tassalsul Toot jaay ga...!!

yah maiN shayar hooN,

Re: Tassalsul Toot jaay ga...!!

Matlab?

Re: Tassalsul Toot jaay ga…!!

:lajawab: I like it…

Magar maine daad esukhan de di… ab aap baten tasalsul toota k nahin :faizy:

Re: Tassalsul Toot jaay ga...!!

Tasalsul to tootna hi tha Daad-e-Sukhan k baad........

Lykin koi baat nhi.......sab chalta hy......

Kaheen sy phr shuru ho hi ja`ay ga.