^
^^^^^^^^^^^
***Taman’na Lay K Ulfat Ki ***
mayray Aangan Main Woh Aaya
MUHABAT Rog Hay Dil Ka
Ussay Yeh Main Nay Samjahaya
Kahaa Uss Nay MUHABBAT Kar
Shareek e Ghum Bana Mujh Ko
***Karoon ga Main Zamanay Ki ***
Khushi Say Aashna Tujh Ko
Hovaa Majboor Main Yarroo’n
Kiya IQRAAR Ulfat Ka
Lagaa Dee Jaan Ki Baazi
Samajh Kar Khail Qismat Ka
***Hovee Maloom Phir Us Ki ***
Haqeeqat Yeh Zamanay Say
Ussay TASKEEN Milti hay
Kissi Ka DIL Dukhanay Say
-----------------------------