Ek ghazal kay tamam ash’aar ki tashreeh chahiyay . Can anybody help me out ?
Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
Jab Nazar Se Milaayi Maza Aagaya
Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi
Aag Aisee Lagaayi Maza Aagaya
Jaam Mein Ghoul Kar Husn Kee Mastiyaan
Chaandni Muskurai Maza Aagaya
Chaand Ke Sa’ay Mein Ay Mere Saaqiya
Tu Ne Aisee Pilaayi Maza Aagaya
Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm E Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga
Maikade Pe Barasne Lagi Mastiyaan
Jab Ghata Gir Ke Chaayi Maza Aagaya
Be Hijabaana Wo Saamne Aagaye
Aur Jawaani Jawaani Se Takra Gayi
Aankh Unki Laree Yoon Meri Aankh Se
Daikh Kar Ye Laraai Maza Aagaya
Aankh Mein Thee Hayaa Her Mulaqaat Par
Surkh Aariz Hu’ay Wasl Ki Baat Par
Us Ne Sharma Ke Mere Sawaalat Pe
Aise Gardan Jhukaayi Maza Aagaya
Shaikh Sahib Ka Imaan Bik He Gaya
Daikh Kar Husn E Saqi Pigal He Gaya
Aaj Se Pehle Ye Kitne Maghroor The
Lut Gayi Parsaayi Maza Aagaya
Ay Fana Shukr Hai Aaj Baad E Fana
Us Ne Rakh Le Mere Pyaar Kee Aabro
Apne Haathon Se Usne Meri Qabr Par
Chaadar E Gul Charhaayi Maza Aagaya
Thank you in advance.
Re: Tashreeh / Explanation required.
furqanali:

:welcome: to the forum
abhi lejiye… pehla shair:
Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar, Jab Nazar Se Milaayi Maza Aagaya
Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi, Aag Aisee Lagaayi Maza Aagaya
Pehli nazar ka pyar.. yani ke Love at first sight ki taraf ishara hai… aap ne wo gana to suna hi hoga shayad:
dekha jo tujhe yaar
dil mein baji guitar
chhalka aankhon se pyar
dil mein baji guitar
chaa raha kaisa yeh nasha re…
aa raha jeene kaa mazaa re..
arerere main toh gaya re…dil bhi gaya re
Dekha Jo Tujhe Yaar , Dil Mein Baje Guitar - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=By9g9Ck0wQY )
Shayar ne issi kefiyat ko dhang se bayan kiya hai :hehe:
aage badhen?
Re: Tashreeh / Explanation required.
Thank you sir, but kindly explain the word, " Rashk-e-qamar" and also " jaam may ghol kar husn ki mastiyan", yahan jaam say kia murad hai?
Thank you again
Re: Tashreeh / Explanation required.
Thank you sir, but kindly explain the word, " Rashk-e-qamar" and also " jaam may ghol kar husn ki mastiyan", yahan jaam say kia murad hai?
Thank you again
Rashk e qamar (jisse dekh ke chand bhi rashk kare.. matlab boht hi khoobsurat)
Jaam se matlab nazar.. jaise Umrao Jan ne nahin kaha tha:
Ik sirf ham hi may ko ankhon se pilate hain
Kahane ko to duniya may maikhane hazaron hain
TLK
November 19, 2013, 5:19am
5
Re: Tashreeh / Explanation required.
" jaam may ghol kar husn ki mastiyan", yahan jaam say kia murad hai?
Jaam Sadiq Ali
KKF
November 19, 2013, 5:27am
6
Re: Tashreeh / Explanation required.
muqawwee123:
:welcome: to the forum
abhi lejiye… pehla shair:
Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar, Jab Nazar Se Milaayi Maza Aagaya
Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi, Aag Aisee Lagaayi Maza Aagaya
Pehli nazar ka pyar.. yani ke Love at first sight ki taraf ishara hai… aap ne wo gana to suna hi hoga shayad:
dekha jo tujhe yaar
dil mein baji guitar
chhalka aankhon se pyar
dil mein baji guitar
chaa raha kaisa yeh nasha re…
aa raha jeene kaa mazaa re..
arerere main toh gaya re…dil bhi gaya re
Dekha Jo Tujhe Yaar , Dil Mein Baje Guitar - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=By9g9Ck0wQY )
Shayar ne issi kefiyat ko dhang se bayan kiya hai :hehe:
aage badhen?
isii mauzoo’ par meraa bhii ek she’r thaa:
**
milte hii nazar un se dil ban gayaa saudaaii
ik pal kaa nazaara thaa, ik 'umr kii rusvaaii**
Re: Tashreeh / Explanation required.
thank you muqawwee123, ab kuch baat bani. please now tell me about this:
Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm E Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga.
Re: Tashreeh / Explanation required.
thank you muqawwee123, ab kuch baat bani. please now tell me about this:
Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm E Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga.
ye ander ke mosam ki baat hai.. jaise Madam Noor-jehan ne iss song main bayan kia hai:
NOOR JAHAN MAN MEIN UTHI NAYEE TARANG NACHE MORA …
Ya phir jaise Ghalib ne kaha tha:
Unke aa jane se aa jati hai chehre pe ronaq
wo samajhte hain beemar ka haal acha hai
Re: Tashreeh / Explanation required.
maza nai aaya…
Re: Tashreeh / Explanation required.
maza nai aaya…
muhabbat ek nashe ke tarah jism o jaan pe warid hota hai… Insaan ka ang ang bol uthta hai.. jaise Parveen Shakir ne kaha tha:
Taza muhabbaton ka nasha abhi jism o jaan main hai
Phir Mausam-E-Bahar Mere Gulistaan Mein Hai
Re: Tashreeh / Explanation required.
chalain theek. thanks alot, ab last wali baat, aap ka bohot waqt lay liya may nay:
Ay Fana Shukr Hai Aaj Baad E Fana
*Us Ne Rakh Le Mere Pyaar Kee Aabro
yahan fana ko mukhatib karnay ki kia zaroorat hai ?*
Re: Tashreeh / Explanation required.
Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm E Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga
is shair may 'sheeshay' say murad kia sha'er ka apna wajood hai? if yes, to sha'er nay apna sheeshay jaisay parsa honay ka dawa kyun kiya ?

sheesha kab se parsai ki alaamat ho gaya... sheesha to vulnerability ki allamat hai.
sheesha wajood iss liye ke ang ang main muhabbat ka nasha portray karna tha. BTW who is the poet?
Re: Tashreeh / Explanation required.
Thanks alot for the clearance sir. poet name is ‘Fana Baland Sheri’. the link below might get you to the point.
https://soundcloud.com/saad-jutt/mere-rashk-e-qamar-nusrat
tarash
November 23, 2013, 4:29pm
15
Re: Tashreeh / Explanation required.
good ghazal and its explanation
Re: Tashreeh / Explanation required.
so its qawwali sung by NFAK.
tarash
November 23, 2013, 4:44pm
17
Re: Tashreeh / Explanation required.