**Tarz jeene kaa sikhati hai mujhe
tashnagi zahar pilaatii hai mujhe
raat bhar rahti hai kis baat ki dhun
na jagaati hai na sulaati hai mujhe
ruthta hon jo kabhi dunya se
zindagi aake manaati hai mujhe
aaina dekhun to kyon ker dekhun
yaad ik shaKhs ki aati hai mujhe
band kartaa hun jo aankhen kyaa kyaa
roshni si nazar aati hai mujhe
koi mil jaaye to rasta kat jaaye
apni parchai Daraati hai mujhe
ab to ye bhool gayaa kis ki talab
des pardes phiraati hai mujhe
kaise ho Khatam kahaani Gham ki
ab to kuch nend si aati hai mujhe**