**Tarq-e-ta’aluq
Tum hi batao jana’n
Kya you’n tarq-e-ta’aluq ho jata hai…??
Zehn-o-dil ko sirf ana k hatho’n girwi rakh dene se
Khud ko apne kamre mein band kar lene se
Bain kare’n jab yadein
Rishto’n ki mayyat pe ro lene se
Tum hi batao jana’n
Kya you’n tarq-e-ta’aluq ho jata hai
Ankho’n k chogardi halqay
sare raaz ugal dete hain
Sari khushio’n k sapne
Apne apne rastay lete hain
Tarq-e-ta’aluq aise thori ho jata hai
Wasl k lamhay
Hijr k barso’n ko lotanay partay hain
Aur khushio’n k lay palak bachay
Wehshi ghum k panjo’n mein dene partay hain
Naam-e-wafa pe
Jitni jhooti qasmein khaee’n
Un ka bhi kaffara dena parta hai
Bus khat wapis kar dene se
Ya tohfay wapis kar dene sy
Tum hi batao jana’n
Kya you’n tarq-e-ta’aluq ho jata hai…??