tariq and anwaar

Re: tariq and anwaar

Fraudia for the CEO :dhimpak:

Re: tariq and anwaar


karni paRti hai... aap naheeN samjho gAy...

Re: tariq and anwaar

i still need to find out why tariq left (so we can repeat that possibly)
and
why he came back (so we stop doing that)

Re: tariq and anwaar

yeh bhi bol-na chahtay hain, laikin in kay bol, in kay lab par aa kar wapis chalay jatay hain

Re: tariq and anwaar

Bol kaY la'B
aazaad haiN teraY

Re: tariq and anwaar

:rotfl:
Ok I have to admire the sense of humor here (I am visualizing, what he said). Sorry Anwaar

PS# 666: Usually I ignore Fraudias jokes (when I am the target) but cause Anwaar is the one on this one, I wanted to laugh

Re: tariq and anwaar

waisaY baRay keenaa parwar insaan ho… kal tukk jub “MaiNdakoN par kiyaa guzri” chaL rahi thee tau bol bol kar day dhanaa dhan machaai huvee thee -laikin boli aadhi ho rahi thee :rotfl:

Re: tariq and anwaar

woh kal maidak walay incidence kay baad aaj tariq sahab bohot phuddak rahay hain asal mein :slight_smile:

Re: tariq and anwaar

lakin phudaktaa tau maiNduk hai
maiNduk tau green hotaa hai
green tau totaa bhee hotaa hai
tota tau tota chasham hota hai
chasham kaa lafz tau aashoob-e-chasham maiN bhee aataa hai
aashoob-e-chasham tau beemari hai
beemaari tau roohaani bhee hoti hai
roohaaniyat tau Pir say milti hai
Pir tau Fraudia bhee hai
Fraudia kaa tau chamcha bhee hai
chamchaY kaY saath tau kaaNtaa bhee hotaa hai
kaaNtaa tau Gulaab kaY saath bhee hotaa hai
Gulaab tau surkh hai
surkh tau khoon bhee hotaa hai
khoon tau zaroori hai
zaroori tau insaan bhee hotaa hai
insaan tau Ashraf ul Makhlooqaat hai
Makhlooqaat maiN tau maiNduk bhee hai
MaiNduk tau green hota hai
(infinite loop) :snooty:

Re: tariq and anwaar

zara charas wali cigarette mujhe bhi dena...

Re: tariq and anwaar

yeh bilkul fil badeeh thaa… charas kaa koi KAMAL naheeN :barbie:

Re: tariq and anwaar

Pretty good way of testing how effecient they are, ain't it?

Give them a shabahsi and tell them you have them exactly where you want them. ;)

Re: tariq and anwaar

That’s our Fraudia.

He even tests people without them being known :wink:

Re: tariq and anwaar

lol....wat a productivity is spread here !

Re: tariq and anwaar

This is how Gupshup was evolved :)

bol bol kar!

I must say, Tariq and Fraudia are doing great job.... jub BolnaY par aataY haiN tau itni Bol Chaal hoti hai kaY baaqi sub apni apni boliyaaN bol kar uR jaataY haiN aur yeh dono boliyaaN lagaataY reh jaataY haiN.

Re: tariq and anwaar

abb dekho tariq bhai neecahY koi naamaaqoolnaa baat bolnaY laGay haiN.. bus reply aa rahaa hai neechaY

PS: abb woh kahaiN geY kaY I have admin powers :omg:

Re: tariq and anwaar

Jee haN, Anwaar sahab baghair chars kay bhee, itnee hee behkee behkee bataiN kar saktay haiN.

Re: tariq and anwaar

aap ke suhbat kaa asar hai dost.... aap itnaa boltaY ho kaY hum bhee ussi tarah bolnaY lug gaye..

Re: tariq and anwaar

Sir, meray bolnay say aap behek jaatay hain?

Does not paint a very good picture

Re: tariq and anwaar

aap behkaY behkaY boltay ho tau jawaab ussi tarah denaa paRtaa hai naa warnaa phir aap ko hamaaraa bolnaa samajh naa aye....

woh kiyaa thaa

Zubaan-e-Yaar-e-M'an Turki wa ma'n Turki NaMee Daanam! :)