taray ishq ki inteha chahta hoon

taray ishq ki inteha chahta hoon
meri sadagi dekh mai kia chahta hoon

sitam ho keh ho wada bay hijabi
koi baat sabar aazma chahta hoon

yeh janat mubarik rahay zahidoon ko
keh main aap ka samna chahta hoon

koi dum ka mehmaan hoon ay ehl-e-mehfil
charaj sehar hoon, bujhna chahta hoon

bhari mehfil main raz ki baat keh di
bara bay adab hoon, saza chahta hoon

                                         (Dr.ALLAMA IQBAL)

Aur Apas ki baat hi mai bhi yehi chahta hon:P

very nice…:k: