mafhoom-e-hadees hai** her bidd’at gumrahee hai **
is hadees ko samjhnay kay bad app hazrat ummer rz kay kalaam ko samjhain gai
main ik shaikh ul hadees wa tafseer say suuna hay
hazrat ummar ka mutlub yeh k agar taraweeh ko koi bidd’at kahay to kia hee ahsan bidd’at hai ..lakin choonkay hadees say maloom hoa kay her biddat gumraahe hai layhazza yeh biddat nahi ho saktee
hazrat ummar alim or faqeeh thay un kay kalam ko shreyat kay asooloon per samjhna ulma-e-karam ka hee kaam na k app or mujh jaisai bay ilm logoon ka jo sirf zahiree ibartoon ko perhtay hain
ajeeb bat hai app sunnat-e-sahaba ko sunnat-e-nabi say alag kaisai samjhtay hain
kia quran main shaba ko imaan ka mayaar nahi theraya gya ? nabi paak salal Alllaho alyhi waslam nay khud fermaya k
mere bad mere or khulafa-e-rashideen ki sunnat ko thaamna
or fermaya **tum jis sahabi ki iqtada kero gay hidyat per raho gay **
is kay bad koi muslmaan kaisai sooch sakta hai kay sahaba ka koi ammal shareyat say hut ker ho ga ?
is terah to app quran hadeees ko bhi jhutla rahay hain jo khud sahaba ki iqtada ka hukam day rahay hain
tarweeh sunnat-e-mu’akida jo wujoob k hukam main hai jammat kay saath …is main koi ikhtilaaf nahi …
behter hai k apnee aqal say koi faisla kernay kay bajaye kissi mustanad Alim say sawal kerain
You are so absolutely right dude, but I actually would love for you to not give me your twisted interpretations and back it with references like i have put a few.