Taraap

jab tum meray saath thay
toh
yun lagta tah kay
jaisay sang-e-marmar par
tarashay hoye naksh ki tarha
tumhari yaad kabhi kum nahi ho sakti
aur
tumhari mohabbat ki chamak kabhi kum nahi ho sakti
magar
ab jab tum meray haathoon se
pani ki manind phisaal chukay ho
aur
us rait kay ghroonday ki manind ho chukay ho
jo
moojoon kay aik hi waar se gir jata hai
toh
mujhe yun lagta hai kay
mein seerab kay peechay bhaagti rahi
zindagi ka suraag lagati rahi
manziloon ka tayion karti rahi
aur
rait kay gharoonday banati rahi
aur
pani ki moojoon par aks banati rahi
magar
kamyab na ho saki…

kaisee hai

??2629
humm achi hay par abhi namokamal hay :blush:

very nice:k::k:

nice 1:k:

thanks

thanks 4 all :)

Beautiful :k::k::k:

thanks

thanks arif jee

good 1

:k:

:flower2:

bahut khoob!

thanks

THANKS :)