kesey mehfil ke baat karte ho main to tanhaaiyoun mai rehta hoon
humsafar koun hai mere gham ka main to parchaaiyoun main rehta hoon
mujhko maaloom hai ke gham kia hai mujhko maaloom zindagi kia hai
tum zamane ki baat kartey hoon main to gehraaiyoun main rehta hoon
meri aawaaz loog suntey hain dard ka saaz loog suntey hain
meri shohrat to aaik dhoka hai main to ruswaaiyoun maim rehta hoon
khud ko barbaad kar liya main ne gham se aazaad kar liya main ne
ab weerana mera thikana hai apni barbaadiyoun main rehta hoon
mujhse poocho na aansuon ka sabbab jo mere paas hai muqadar hai
kiya khushi hai ye keh nahi sakta gham ki main aandhiyoun main rehta hoon