Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

taaqateiN tumhaari haiN, par Khuda hamaara hai
aks par na itraao, aaina hamaara hai

aap ki ghulami ka bojh humm na dhoeiNge
aabroo se marn’e ka, faisla hamaara hai

koi bhi hameisha to, jung laRh nahiN sakta
tum bhi toot jaaog’e, tajruba hamaara hai

doobney lagey jab humm, tab khula fareib uska
hum tO yeh samajht’e thEy, naakhuda hamaara hai

dosti se rahn’e meiN aafiyat hai donoN ki
kuch bhala tumhaara hai, kuch bhala hamaara hai

ghairat e jihad apni, zakhm kha ke jaageigi
pahla waar tum kar lo, doosra hamaara hai

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

umdah

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

:k:

kia darr jo ho saari khudai bhi mukhaalif
Kaafi hai gar ek Khuda mere liye hai....

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

kahin dosti ki baat,kahin phir waar karny ki baat
yeh khula tazaad nahin hai

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

India Pakistan - East West ke tanazur ko zehn main rakh ke padhen

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

phir to kuch bhi pally nahin pary ga

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

:k:

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

:lajawab::lajawab:Wah wah bohut alaa bohut alaa wah wah :lajawab::lajawab:

Re: Taqaten Tumhari hai aur Khuda Hamara Hai

Aala

:lajawab: