[thumb=A]wp30451.JPG[/thumb]
Here are some selected verses from a song of movie ‘Silsila’…!
Mein aur meri tanhaee
Aksar yeh batain karte hain
Tum hoteen tu kaisa hota
Tum yeh kehtee Tum woh kehtee
Tu is baat pe hairaan hoteen
Tum us baat pe kitni hastee
Tum hoteen tu aisa hota
Tum hoteen tu waisa hota
Mein aur meri tanhaee
Aksar yeh batain karte hain…
Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli huwi hain
Hai chaandni ya tumhari nazroo se meri ratain dhuli huwi hain
Yeh chaand hai ya tumhara kangan sitaray hain ya tumhara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhare badan ki khushboo
Yeh patteyoo ki hai sarsaraahat ke tum ne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon mein kab se gum sum
Ke jab ke mujh ko bhi khabar hai
Ke tum nahee ho kaheen nahe ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho…
Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai magar kis se kahain hum
Kab tak yunhi khamoosh rahain aur sahain hum
Dil yeh kehta hai duniya ki har rasm utha dain
Deewar jo hum donoo mein hai aaj gira dain
Kyo dil mein sulaghtay rahay logoon ko bata dain
Haan hum ko muhabbat hai, muhabbat hai, muhabbat hai
Ab dil mein yehi baat idhar bhi hai udhar bhi…!