tanhai....

Tanhaai K Sehra Mein,
Yun Chhor K Chal Dena..

Chhoti Si Shikaayat Par,
Moon Morr K Chal Dena..

Ye Kesi Mohabbat Hay,
Ye Kesi Rafaaqat Hay,

Agar Paas_E_Wafa Rakh Kar,
wo Maan Barrha Detay..

Be’Los Rafaaqat Par,
Imaan Barrha Detay..

Mein Fakhar Say Phir Kehta,

wo
Jaan_E_Rafaaqat Hy..

Wo
Baab_E_
Mohabbat Hy..

Tehreer_E_
Sadaaqat Hy..

Ye Sub Hay Magar Tab Bhi, Hay Mujh Ko Yaqeen Ab Bhi..

Jo Kuchh Bhi Kaha Main Nay,
Shikwa Hay,
Shikaayat Hay,

Lekin Ye Haqeeqat Hay..

Bus un Say Mohabbat Thi,

0r,

Un Say Mohabbat Hay…!

Re: tanhai…

:lajawab:

Re: tanhai…

bohot khoob

Re: tanhai…

bahut accha hai :slight_smile:

Re: tanhai…

wah waa wah waaa… Ek mari taraf se bhi,

Kya phe se ya nahi ho sakta K hum Jaan manga,
Aur tum laga K gale kaho… Aur kuch.