Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

**Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha

Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha

Jane kyun qatrate hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha

Pani mangte mangte meray honth pathar ho gaye
Woh shaks mashkeeza liye khara dekhta raha

Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue
Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha

Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha

Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN
Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha …**

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

[QUOTE]
Jane kyun qatrate hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha

[/QUOTE]

badtameez qism ka aadmi hoga

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

:nahi: Aam sa Admi hoga…Logon ko Khass ki Talaash rehti hy…

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

but katrate badtameez logon se hain

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

Dolat ki Pojari Dunya mein badtameez/tameez`Daar ka farq kam, Aam or Khass ka ziyada daikha jata hy........

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

not everyone does tht

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

Right.....but........Mostly...........

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

Very Nice Bro..:k:

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

**Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha

aap logon ke interest alag alag the
**

Re: Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

Jabhi to ye halaat hyn............