tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

tanhaa’ii kii galii meN havaaoN kaa shor thaa
aaNkhoN meN so rahaa thaa andheraa thakaa hu’aa

barsoN se chal rahaa hai ko’ii mere saath saath
hai kaun kaash us se maiN ek baar puuchtaa

dil meN utar ke bujh gayii yaadoN kii chaaNdnii
aaNkhoN meN intezaar kaa suuraj pighal gayaa

chordii hai un kii chaah to ab lag rahaa hai yuuN
jaise maiN itne roz andheroN meN qaid thaa

maiN ne zaraa sii baat kahii thii mazaaq meN
tumne zaraa sii baat ko itnaa baRhaa liyaa

“Aazer” ye kis kii simt baRhe jaa rahe haiN log
is shah’r meN to mere sivaa ko’ii bhii na thaa

Kafeel Aazer
**

**

Re: tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

nice...:-)

Re: tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

very beautiful

Re: tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

Thank u doston!

Re: tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

nice ....

Re: tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

good1:k:

Re: tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

[QUOTE]

maiN ne zaraa sii baat kahii thii mazaaq meN
tumne zaraa sii baat ko itnaa baRhaa liyaa

[/QUOTE]

Bohat khoob***

Re: tanhai ki gali mein havaaon ka shor tha

Achi hai :)

nice