tanhai ka dukh gehra tha
maiN darya darya roya tha
ik lehar he nahi sanbhli warna
main toofaN se khaila tha
tanhai ka tanha saaya
dair se mere saath laga tha
choor gaey jab sare sathee
tanhai nay saath diya tha
sookh gai jab sukh ki Dalee
tanhai ka phool khila tha
tanhai main yaad Khuda thee
tanhai maiN khauf-e-Khuda tha
tanhai mehraab-e-ibadaat
tanhai manbar ka diya tha
tanhai mera paaya-e-shakasta
tanhai mera rasta dua tha
voh jannat mere dil maiN chupi thee
maiN jise bahir Dhoond raha tha
tanhai mere dil ki jannat
main tanha hoon, main tanha tha