TanhaaiyouN maiN yadaiN teri dil jalaati tau haiN

SaNg-e-mar mar ka dil laa day koie
yeh jazbay iss dil kay miTaa day koie

dil-e-saNg kaa bojh uThaa saktaa hooN maiN
dil kay dukhouN kaa bojh haTTaa day koie

aye kaash louT saktaa maiN apnay maazi maiN
himaaqatouN ko meri kaash miTTaa day koie

TanhaaiyouN maiN yadaiN teri dil jalaati tau haiN
iss azaab-e-jaaN gudaaz say mujhay bachaa day koie

Zindah haiN aur muntazir haiN Anwaar
marnay say hee pehlay magar pukaraay koie!

– Anwaar

humm

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
humm
[/QUOTE]
bhai... kuch ghalat likh diyaa kiyaa? itnaa kiouN ghaur kartay ho? :-(

Bohut khoob .. mashallah ...... buss akhairi shair zara halka hay.

uss kee taseeh kar dijiye :blush:

maiN theek kar looN gaa :slight_smile:

Aray Sahab … kahan hum foot patiay … oor kahan aap … Ghalti ho gaii sarkar hum ka mafi de do…

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Aray Sahab ...... kahan hum foot patiay ... oor kahan aap .... Ghalti ho gaii sarkar hum ka mafi de do...
[/QUOTE]
maiN nay khud radeef theek karnay kee koshish kee hay... aap dekh kar hee bataa dijiye kay ab behtar lagtaa hay :-(?

Qibla ... aaj moyasr nahi mekhanay main ...... kisi oor waqt pe uttha rakhain.

mekhanay say shair daraamad kartay haiN aap :stuck_out_tongue: ?

khair.. thanks for pointing out.. i did feel it was lil off.. tried:)

thanks for liking it :flower1:

Adaab

Wah :)

:k:

bohut khoob:k::k:
thanx!

mera rone ka dil ker raha hai :teary1:

bohat achi hai…bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat achi hai :k:

:teary1:

Nice....