Tanhaai ko sar karta hoon. Yoon din raat basar karta hoon.
Us ki aankhon say gir jaun Jis kay dil main ghar karta hoon.
Khush hota hoon apni khushian Tairay naam agar karta hoon.
Tairy aik nazar kay badlay Haazir jaan jigar karta hoon.
Aana jaana jab ghar tak hai kyun phir roz safar karta hoon.
Yaad ki khaity sookh na jaayay Aksar aankhain tar karta hoon.
Raat jagaayay kyun phir mujh ko. Kaam to main din bhar karta hoon.
Shaayad ulfat ki hai sazaa jo Yaad tujhay aksar karta hoon.
Gham aa jaayayn us main rehnay Jo aabaad nagar karta hoon.
Pathhar ko sheesha hoon banaata Sheeshay ko pathhar karta hoon. ‘Ashraf’
duniya aur daraayay Jab bhi kuch dar kar karta hoon.