==============
*Agar *
*Woh Pyaar Kar Laytaa *
Mayra Daman Pakarr Laytaa
Tou…
*Jeewan Main *
*Faqat Uss Say *
*Muhabbat Farz Ho Jaati *
MUhabbat Qarz Ho Jaati
Magar…
Achcha Kiya Uss Nay
Mujhay Samjha Kay Chal Niklaa
Mujhay Thukraa Kay Chal Niklaa
*Buhat Naadaan Sa Hay Woh *
Abhi Anjaan Sa Hay Woh
Kahaa’n Maaloom Hay Uss Ko
Muhabbat Zindagi Main Faqat Ek Baar Milti hay
*Agar… *
Thukraa Kay Chal Niklai’n
Tou Umerai’n Beet Jaati Hain
Muhabbat Ki Taman’na Main
Magar…
Har Ek Rastay Pay
*Sirf Ruswai Milti Hay *
Faqat…
Tanhai Milti Hay
++++++++++++++++++++++++
===============