mein na hamesha hawaoon ko apni rooh say
choonay ki khawish ki hay
parindoon aur geetoon sa piyaar kia hay
phooloon ko choum ker ankhoon
say lagaya hay,khoobsoorat nazmoon
aur udaas ker dainay walay afsanoon
kay sang raatain bitayee hain
aur shairoon kay hajoom mein raha hoon
lekin us kay bawajood
meray aur un kay darmiyaan
hamesha koi na koi parda hayil raha hay
jahan bhi yah parda zara hata hay
mein na shidat say khood ko tanha
mehsoos kia hay…
Bohat ache...beautiful
:k:
thanks 4 ur compliments....