tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagee se ham
Thukraa naa den jahaan ko kaheen bedilee se ham
*
*maayoosee-e-ma’al-e-mohabbat naa poochhiye
apnon se pesh aaye hain begaanagee se ham
*
*lo aaj hamne tod diyaa rishtaa-e-ummeed
lo ab kabhee gilaa naa karenge kisee se ham
*
*ubhrenge ek baar abhee dil ke val-vale
go dab gaye hain baar-e-gham-e-zindagee se ham
*
*gar zindagee main mil gaye phir ittafaaq se
poochhenge apnaa haal teree bebasee se ham
*
*allaah re fareb-e-masaheeyat ke aaj tak
duniyaa ke zulm sahate rahe khaamoshee se ham
*
*ham gham-zadaa hain laaye kahaan se khushee ke geet
denge wahee jo paayenge is zindagee se ham
~~~~~~~~
Sahir Ludhianvi
~~~~*~~~~
Re: tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagee se ham
bohut khoob; superb sharing.
Re: tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagee se ham
:k: