"tamannaaoN se ai dil..."

aadaab dosto!

Ek Ghazal mulaahizah farmaaiy. aap kii raae kaa intizaar rahegaa.

**Ghazal

tamannaaoN se ai dil, kyaa milegaa!
jo qismat meN likhaa hogaa, milegaa

Khushii kaa jo ye ik lamhaa milaa hai
abhii maazii meN ye bhii jaa milegaa

zamaanaa ho gayaa duniyaa ko chhoRe
vahaaN ab kyaa koii apnaa milegaa!

piyaa ho aashiqii kaa dard jis ne
vo maiKhaane meN bhii pyaasaa milegaa

hamarii umr bhar kaa tajrabaa hai
jo chaaho phuul, to kaanTaa milegaa

chalegi naao sach kii jab kabhii bhii
umaNDtaa jhuuT kaa dariyaa milegaa

ye kah kar us ne mujh par zulm Dhaaye
‘tumheN phal sabr kaa achchhaa milegaa’

hazaaroN aaNdhiyaaN guzreNgii, phir bhii
mire ghar kaa diyaa jaltaa milegaa

yahii ‘Waseem’ kii hai pehchaan, yaaro
jahaaN hogaa, tumheN tanhaa milegaa !!!

Waseem Ahmed**

gr8 dost :)

keep posting thanx

tata:)

*yahii ‘Waseem’ kii hai pehchaan, yaaro
jahaaN hogaa, tumheN tanhaa milegaa !!!
*

Beautiful ghazal dost jee.. :flower1:..

thanks for sharin’… keep it up :slight_smile: :k:…

bahot achhi ghazal hai waseem bhaaii..ye do sher to bahot pasand aaye..

zamaanaa ho gayaa duniyaa ko chhoRe
vahaaN ab kyaa koii apnaa milegaa!

hazaaroN aaNdhiyaaN guzreNgii, phir bhii
mire ghar kaa diyaa jaltaa milegaa

maqta bhii achha hai.

daad kubul kijiye....

bohat achee hai Waseem. By the way, yeh saray poets nakaam ashiq kyoon hotay hain ?

nice one dost keep sharin..:)

Bohat achi ghazal hey waseem sahib. :k:

Well not really ‘nakam Ishaq’, :slight_smile: all you need to have is a sensetive heart with strong feelings and an urge to write them down. Now what invokes those strong feelings in a sensetive heart is a separate story. It could be any thing even successful love experience or may be just the nature, your envoirnment anything can lead you to be a poet.
Well in my case that was 100% flirt :stuck_out_tongue:

Pyara dost,HH Jee,Pramod Bhai,Minerva,Koyal,Chodhry Bhai ye naachiiz Ghazal pasand farmaane ke liye meraa shukriya qubuul kiijiye! :flower1:

Re: “tamannaaoN se ai dil…”

bohut khoob jee .. :k: .. two thumbz up .. :flower1: ..

thanx for sharing n keep it up .. :k: ..

Thanx Ghazal :flower1:

Waah! Very nice!

[QUOTE]
*Originally posted by Dasht-o-Sehra: *
Waah! Very nice!
[/QUOTE]

Thanx Dasht-o-Sehra !

zamaanaa ho gayaa duniyaa ko chhoRe
vahaaN ab kyaa koii apnaa milegaa!

wah janab,khoob kaha app nay,,kuch aur bhi ho to irshaad,,,

zindabad waseem bhai......bahut accha Mashallah////khayaal aur luzon ka taal mail bahut khooburat

[QUOTE]
*Originally posted by Raindance: *
zamaanaa ho gayaa duniyaa ko chhoRe
vahaaN ab kyaa koii apnaa milegaa!

wah janab,khoob kaha app nay,,kuch aur bhi ho to irshaad,,,
[/QUOTE]

Ghazal pasand farmaane kaa bahut bahut shukriya!

[QUOTE]
*Originally posted by show_sha: *
zindabad waseem bhai......bahut accha Mashallah////khayaal aur luzon ka taal mail bahut khooburat
[/QUOTE]

Aapkii zarraanawaazii ke liye behad mamnuun huuN.