Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo

[TABLE=“width: 100%”]

[TABLE="width: 100%"] [TR] ****Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo

Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo

Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo

Sukhanwer hum say kehta hai saja lo ankh main kuch khwab
Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo

Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo

Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmandgi kuch bhi
Zamana daikh tham jaye, kuch is andaas say niklo**
**

[/TR]

**

**

Re: Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo

****darmandgi ??!?!

Achchi sharing hai.


Re: Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo

[quote="Diva"]

****darmandgi ??!?!

Achchi sharing hai.
****/QUOTE

           ** درماندگی = ** prostration

matlab agar Sar-e-maqtal(qtal gah) ko ja rahy ho to phir
ser jhuka ker, ghirty party aur la'chari k sath nhi balky is shaan se niklo k Zamana bhi tumhy daikh ker
thaM jaey

Re: Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo

****Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo

Muhabbat aur taras khane main waqai boht farq hai