Tamanna lay k ulfat ki meray aangan mein woh aya,
Mohabbat rog hai dil ka usay yeh main ne samjhaya,
Kaha usne mohabbat kr shareek-e-ghum bna mujh ko,
Karonga main zamanay ki khushi se aashna tum ko,
Hua majboor main yaro,kiya iqraar ulfat ka
Laga di jaan ki baazi samajh kr kheil qismat ka,
Hui maloom phir uski haqeeqat yeh zamanay se,
Usay taskeen milti hai kisi ka dil dukhanay se..