tamaam umar azaabon ka silsila to raha

tamaan umar azaabon kaa silasilaa to rahaa
ye kam nahii hamein jeenay kaa hausalaa to rahaa

guzar hii aaye kisii tarah tere diivaane
qadam qaadam pe koii saKht marhalaa to rahaa

chalo na ishq hii jiitaa na aqal haar sakii
tamaam vaqt maze kaa muqaabalaa to rahaa

main terii zaat mein gum ho sakaa na tu mujh mein
bahut qareeb thay ham phir bhii faasalaa to rahaa

ye aur baat ki har chheD laa_ubaalii thii
terii nazar kaa dilon se muamalaa to rahaa

bahut haseen sahii wazae-ehatiyaat terii
merii havas ko tere pyaar se gilaa to rahaa

:teary3:

nice...........

never mind yaar; hosla kaayem rakh! :D

good:k:

Bohat khoob..