Kya qahar hai ke neend na aaye tamaam raat
aur uss pe unki yaad sataye tamaam raat
Be-daariyon ne khwaab dikhae tamaam raat
her shay mein tum he tum nazar aaye tamaam raat
wo kya gaye ke neend bhi aankhon ki le gaye
yani wo khwaab mein bhi na aaye tamaam raat
jaese kisi ne duur se awaaz dee mujhe
kya kya na dil mein waham samaye tamaam raat
aese kahan naseeb shab-e-mahtaab mein
wo aaye aur aake na jaaye tamaam raat
soz-e-firaaq-e-yaas wa alam izteraab-e-shauq
kis kis ke maine naaz uthaye tamaam raat
hungame subha khaak bhi unki na mil saki
kya kya mahal na dil ne banaye tamaam raat
phir jee mein hai ke hadh se ziyada piye Shameem
aur baar baar koee pilaye tamaam raat
By: Shameem Jaipuri