[QUOTE]
Jee bilkul khud samjha hai , our mut'adid baar apni na samjhi ki tas'eeh ki hia
[/QUOTE]
sahee app nay khud samjha to app mujhay sirf itna bata dain k is ayat ki tafseer kertay waqt app nay kin asool o qawaaid ko mad-e-nazar rakha....
or plz ab third time mere is bat ko ignore na karain ..yeh koi baat nahi kay saare post main say sirf apnee pasand kay hissay ka jawab dain or baqee ko hazam ker jaain : )
[QUOTE]
( I can not write in urdu here as many people can not understand roman urdu, otherwise i can write a complete novel in urdu its not a problem for me )
[/QUOTE]
app ki urdu daani say main waqif hoon ...mujhay is per koi shaak nahi kay ik nahi kayee novel likh saktay hain ...pata nahi app nay yeh wazaahat kio kee !
[QUOTE]
P_G Your case is not any different from 100s of other cases. Three talaq in one sitting is common practice in pakistan, Because people consult Madaris get fatwa and throw holy quran and Sunnah of prophet (pbuh) out of window.
[/QUOTE]
nahi mera case jo tha woh mujhay maloom hay ...app nay suna or perha ho ga ..lakin is main kin maraahil say guzarna hota ..or sirf or sirf ik Allah ki aatat or imaan ki hifaazat k ley app ko kitnee muhabbatoon say moun morna hota hai ...app nahi samjh saktay
fatwa koi mazaaq nahi hota ...baqqida quran or hadees k dalail day ker sawaal poochnay walay ko bataya jata hai ... quran or hadees ko agar khirkee say baahir phaynkna hota to kabhi madarsay ka rukh nahi kertay ..apnay nafs ki baat maantay or mazay say duniya ki lazzatoon say sayraab ho rahay hotay
behrhaal yeh hamara muzoo nahi ..mera batanay ka maqsad yeh tha k is maslay per maain zaatee tor par kis had tak involve hoon is ley kaha !
[QUOTE]
Now read carefully and answer my question :
P_G
If a girl is divorced once ( 1 talaq di gaye hai) can she marry some other person next day ?
( agar ek larki ko ek talaq hoi hai , kia wo agley din kisi our aadmi se nikah kar sakti hai ? keyon ?)
Answer my question in your own words. Thanks
[/QUOTE]
main jawaab day rahe hoon ..lakin app bhi imaandaare say perh'eye ga ....sirf yeh sooch ker k her haal main mujhay raad kerna hai ..us aynaak ko utaar ker ...sirf yeh maqsad k halal or haraam ko jaanna hai is niyat ko mustahzar ker k perheye ga
yeh hay app ka sawaal
*If a girl is divorced once ( 1 talaq di gaye hai) can she marry some other person next day *
bilkul woh lerki aglay din kia talaq milnay kay dosray lamhay hee kaheen bhi shadi ker saktee hai** bashart yeh k us ka sirf nikaah hoa ho ...Rukhsatee na hoye ho ( shohar k sath khalwat na hasil ki ho )**
*aysee lerki jis ki shohar say khalwat na payee gaye ho to talaq ki soorat main us per per iddat ka hukam nahi lagta ..or owh jub chahay nikaah-e-saani ker lay *
taham
agar lerki ka nikaah or shohar say khalwat payee gayee to ab woh is ik talaaq k bad iddat guzaray gee ...
filhaal main yaheen tak tasfeel likhtee hoon ..baqee is sawal say kia daleel pakar rahay hain yeh waazih ker dain !